Tujhme ek baat hai, Sun, Tu lajawab hai,
Kisi or se kya kehna, yha har koi khud me ek misaal hai,

Bill gates wali tujhme baat hai,
Whatsapp ko kharid lene wale, markzukerberg jesi tumhari bhi aukat hai,

Choti hi sahi, shuruat to kar, tu bhi ek din ambani ban jaega,
Bs koshish karta jaa, tu bhi nayak se mahanayak ho jaega,

Chakke pe chakka tu lagata jaa, apni hi seemao ko bs tu todta jaa,
Virat aur sachin wala hoonar tujme bhi aa jaega,

Kyu dar rha h sbse, kyu bs bhage hi jaa rha hai,
Chand paiso ke liye, kyu apne aap ko hi marte jaa raha hai

Mujhse kuch sikhna chahta hai to sun,
Kuch bhi kar yar, bas umeed na haar,

Har asambhav kary bhi sambhav ho jaega,

Tu Aage badne ka jazba to dikha,
Sara jahan tere sath khada ho jaega...